Kabhi hasta sa aur kabhi hasne se ghabhrata sa..
Kabhi darta sa aur kabhi dar ke rehne se bachta sa..
Bheedh mein bhi tanha sa..
Aur tanhai mein bhi kisi ke sang hota sa..
Hichkichata sa yeh dil...
Aye dil-e-nadaan yeh to bata de ki aisa kya tha woh wakaya..
Jo kar gya tujhe aur tere pankhon ko ghayal..
Dil ne irshad kiya...
Tha mein befikar ik kali ki tarah..
Khilna chahta tha main us gulab ki pankhudiyon sa..
Laga tha jahan khubsoorat hai yeh.. Banaya Khuda ne jo shiddat se ise..
Jaise udte hain panchi khule aasmaan mein..
Mere armaan bhi the kayi unchayion ke..
Chala jab yeh mast maula apni dhun mein sawaar,
Na tha jaise ehsaas bulbul ko sayiaad ki maujudagi ka..
Is jahan ke zulmon se woh tha bekhabar is kadar se,
Na tha ehsaas usko kisi bhi bharam ka..
Liya jakad usko aur uske armaano ko jab,
Chudane mein usne bahut kuch gavaya..
Nikal bahar aaya woh is janjaal se toh,
Magar aage se dil yeh ab darr se bhara tha..
Lag gaye kayi saal aur usne jab sab bhulaya,
Mila usko kismat se saathi pyaara ek ab..
Khuda ki is rehmat ko usne sir maathe
lagaya..
Laga ki ab khushiyon ka mela lagega..
Phir khulega yeh mausam aur phir dhoop khilegi,
Par yeh badal ka darr usko phir kyun sataye..
Kare rab se minnat aur maange yeh duyaein..
Kashti mere pyaar ki ab woh paar lagaye..
Khilen yeh phool khulkar aur kilkarian si harshayein..
Hichkichata sa yeh dil bas dua mein yun haath failaye.. !
No comments:
Post a Comment