Friday 20 September 2013

Shikayat...!

Woh kehte the bata ki kya hai teri shikayatein..
Aaj main chahta hun sun na yeh haal-e-dil tera,

Na jaane yeh samaa kabhi phir lautega dobara... 
Tu baithi hogi meri baahon phir aisi fursat mein kabhi Yaara,

Maangta hun khuda, ab bas yahi..
Kii is shaam ki phir subah na ho,

Hui hai mujhse khata.. maloom hai mujhe..
Kho dunga apni is massom si gudiya ko.. andaaza na tha,

Aaya hun tujhse milne.. tujhse baatein karne.. teri shikayatein dur karne..
De de mujhe ik mauka phir se.. lautana chahta hun woh haseen pal.. teri hassi.. teri shararatein,

Jeena chahta hun yeh zindagi.. tere mere falsafe ke saath..
De de mujhe ik mauka phir se..
De de mauka ik mujhe phir se..!

Tuesday 17 September 2013

Mulaquaat - after effects!

Yeh baat hai agli saver ki.. jiska kar rhi thi main intezaar badi shiddat se,

Laga tha kal ke baad ki jaise dikhne laga hai ab kuch saaf saaf is dhundle se sheeshe ke paar..
Par kohra to abhi tha barkaraar is sheeshe ke baahar,

Bhul gyi thi ki yeh garmahat to meri saanson ki hai..
Par bahar ki thandi hawa to abhi bhi kayam hai,

Waqt lagta hai is thand ko dhalne mein..
Leti hai angadaayi dhup dheere dheere..  aur badalte hai rang yeh patte badalte mausam ke sang..

Waise hi badalega tera mera rishta.. is beet'te lamhen ke saath..
Dekhta hai kya rang laati yeh zindagi.. main chahti hun dekhna ki kya deti hai yeh mujhe..
Ik dost, ik humsafar ya rah chalta musafir jo mila tha mujhe bas pal do pal ke liye!

Monday 16 September 2013

Mulaquaat..!

Tumhe dekha tumse mili.. aur tum se baatein bhi ki..
Kabhi hasi, khilkhilayi.. kabhi khamosh baithi tujhe takti rhi,

Laga ki chhu loon.. ki mehsoos kar ke dekhun.. ki yeh kahin koi khwabgah to nhi..
Haqiqat hai yeh guzarta samma.. khwab nhi hai yeh mera...
Tu baitha hai mere saamne aur baatein kar rha hai mujhi se,

Yeh aankhon ki aankhon se baatein.. behte paani ke sang lehrata chalta har pal..
Waqt to jaise tham hi gaya ho humare liye par ghadi ki sui ki tik tik chalti rhi har minute..

Kon the humare aas paas.. kya  koi sun rha tha humari yeh baat..
Na tujhe yeh fikr thi.. na mujhe yeh ehsaas,

Tham sa gya tha samma jaise..
par thamma nahi tera mera saath..

Kareeb hote gye har beet te pal ke saath.. mit ti gyi woh har duniyadaari ki diwaar,

Teri aankhen keh rhi thi kuch..
aur honth kuch aur bayaan kar rahe the,

kya yeh bhi mera khayal hai..
ya darmiyaan humare shuru ho gyi hai yeh maasoom sharartein..

Tumhe dekha tumse mili.. aur tumse baatein bhi ki..!

Friday 13 September 2013

Intezaar..

Ek tanha si shaam thi,
Aur ek tanha si main..

Yun ped ki pattiyan si jhadti hain,
Inhi khamosh palon mein zindagi basti hai..

Baahar shor hai pakshiyon ke chehchahaane ka,
Andar intezaar hai jaise kisi ke aane ka..

Kudrat ne to har jagah rang bikhere hain,
Kyun mere dil ke tukde abhi tak kore hain..

Us khuda ne rehmatein to bahut bakhshi hain,
Mujhe bhi bas intezaar hai.. us rooh-e-noor ka..
Jo aaye aur mujhe fir se roshan kar de..!!!