Saturday, 9 November 2013

Ik raat woh thi.. ik rat yeh hai..!

Kuch hi lamhe pehle ki jaise yeh baat hai..

woh aaye the humare khwabgah mein Mulaquaat ke bahane..
Samet laaye the woh jaise yeh saare  sitare is aasman se maangke..

Laga tha hogi Mulaquaat ik us bhule bichade ajnabi se, jo kho gya tha in rishton ki uljhano mein kahin..
Par paaya maine usme ik pyaara sa dost jo gujra hai mere ji jaise zindagi ke haalaton se kabhi..

Kuch kami thi hum dono ki zindagi mein.. jisne kiya hume ek doosre se roobaroo.. woh saath woh pyaar woh manchaha humsafar jo chahta hai har koi,
hume milkar bhi na mil paaya apni is choti si zindagi mein kabhi...

Tuta tha dil.. adhoore reh gaye kai armaan.. par na tuti is kambakht zindagi ki dor.. jo chahti thi jeena aur kuch kar dikhana..

Isi safar mein jab mil gaya ik aisa dost.. jo samjhata hai is dil ki gehraaiyon ko..
Tab laga ki "Picture abhi baaki hai mere dost.."

Jana us ajnabi ko.. jo ban gya hai ab ek pyaara sa dost.. hasta.. khilkhalata.. santa banta ke jokes crack karta hua.. baar baar thand ke maare apne rumaal mein chhinkta aur phir dheere se apni behti naak saaf karta.. har baat pe kehta pagal jo aap..

Kasam se gar agli baar jo bola ki kya pagal hun main.. to dikha dungi apna pagalpan once in for all..

Yaad aayegi yeh ik pyaari si Mulaquaat... jo de gyi mujhe ik dost us ajnabi ke andar,

Aur aaj hun main khadi is khule aasman ke tale..
takti in sitaaron ko, jo wapis chale gye apne aasman mein uske jaane ke baad..!

6 comments:

  1. Cherry g, very well written! Keep it up! :)

    ReplyDelete
  2. wow. written so well. such a clear expression that too even without any inspiration. good job mam.

    ReplyDelete
  3. hi maam..need to spk to u regardin my buk...if u cn help...plz leme knw...

    ReplyDelete