Sunday, 20 July 2014

Tanhayi ka yeh aalam..!

Zindagi gar kisi masoom khwaab ki tarah hoti to kya baat hoti..
Pyaar gar kisi ek falsafe ko bayaan karta to kya baat hoti..

Jiska tassavur in shehar ki galiyon mein vaadiyon ki taazi hawa ka ehsaas le aaye..
Us vaakhfiyat, us shakhshiyat ko behizab yaad karte reh gaye..

Bas hum to jeete rahe apni banaye khwaabon ki duniya mein..
Par yeh zaalim zamaane ne humse humaara tassavur hi chheen liya..

Kyun hota hai aisa ki jo dil ke sabse kareeb hota hai..
Wahi humari kismat ke farzo karam se humse door hota hai..

Jiski kadmon ki aahat se dil ki dhadkane bad jayen..
Jiski dil ki dhadkan mein ek geet bajta lage..
Uski aahton ke intezaar mein shaamein nikal jaati hai..
aur ek din din shaamein sadiyon mein beet jaati hain..

Intezaar ka yeh pal guzarta hi nhi..
Aur ab yeh alam hai ki uksi aahton ki justuju hai..
Har beeta hua pal uski yaadon ko aur gehra karta jaata hai..
Ki jaise abhi dastak ho aur uski aahat se  meri aankhon ko sukoon mil jaaye..

Yeh tanhayi ka alam beete na beete..
Beete na beete..!